Earth.... An Blogger Original series.... Season 1....Part 4...'The Love Melodies-2'

 So guys last blog was quite big so I decided to split it into two parts. So yaar last wala blog kaafi romantic ho gaya tha😅 so I decided to make this blog a little mysterious and socha ki aaj thoda twist add kiya jaye so let's begin:


So yaar Misori ko agle din yeh baat pata chal gayi ki Superman ne jasmine ko chupke chupke pahunchaya room tak.So agle din Superman bas mahal ke aas paas bhatak raha hota hai tabhi use kuch sunai deta hai.. Uske papa yani saudi Arabia ke raaja ko iss baat se bahut gussa aaya aur usne use saza dene ka faisla kiya.. Usne guards se bol kar jasmine ko saza e maut dene ka faisla kiya aur uske guards se use top floor se use fekne ko kaha... So yaar abh to yeh aladdin wala scene ho gaya bas paani ke jaga zameen aur ali ke jaga jasmine... So yaar guards ne use fek diya upar se. . So yaar jasmine ro toh rahi thi but jaise hi use laga ki abh woh marne wali hai.. Tabhi woh sidha jaakar Superman ke haatho me giri(yaar firse romantic scene ho gaya) usne use niche rakha aur upar dekha toh raaja upar se sabh dekh raha tha.. Use abh bahut gussa aaya.. Usne tabhi apne saare guards ko bola aur Superman ke khilaf jung e virasat ka elan kar diya... Yaar abh Superman ke paas koi power nhi this toh Misori, Superman aur jasmine.. Itni badi sena ko kaise harate? So yaar.. Woh sabh dar gaye aur saare guards ne unhe chaaro taraf se gher liya tha unhe Pata tha ki abh woh nahi bachenge toh ve ek saath aa gaye aur Superman kehta hai marenge toh saath hi and tabhi unhe woh jung ka shank sunai deta hai aur abh teeno ko pata hai ki it's there end... But 2 second kuch nahi hone par woh aakhen khol kar dekhte hai aur woh dekhte hai ki woh saare sainik gire hua hai and Batman sabse lad raha hai!!! So yaar yeh dekh ke sab hairaan ho gaye... Fir usne raaja ko bhi maar diya aur Superman raaja ban gaya saudi Arabia ka... But yaar unhe samajh aa gaya tha ki yeh asli Batman nahi hai aur loi aur hai but style ekdam same hai..... So kaun hai woh Batman? Kya woh ek dost hai ya dushman? Aur kya Misori legi badla ya apne pyaar ko tyag degi? Jaan ne ke liye bane rahiye hamare saath. 

Comments